Tuesday, March 24, 2009

Jindgi

Jindgi.
Kya jina kya marna,kya jindgi kya bandgi
Jina kis liye,marna kis liye.
Marmar ke jina padta hai,dunyadari ke liye.
Gaadi, Bangla, shohrat, paisa chahiye dikhave ke liye.
Jindgi aapni jinta hu dusron ke liye.
Samaj ka bandhan hi aisa hai,khud ke liye kuch nahi chahiye.
Bhagta hu paiso ke piche,dosh mera nahi hai
Samaj me rehana hai to,kam karne se piche hat ta nahi mai
Kya din kya raat,bhagne se darta nahi mai
Paisa bahot kamaya,phir bhi rukta nahi hu mai
Kaha mera des, kaha aaya, kaha gaya mai
Sansar ke is kone se us kone tak bhatak ta raha mai
Kudko rok nahi paya,jab tak sas hai ,doudta rahunga mai
khud ke liye na sahi, dunyadari ke liye jita hu mai.
Vedang Dharashive.

Log

Log.
Itne hai log, kitne hai log
Sabse jyada mere des me log
Bahot sare garib aur amir log
Aalag basha,aalg bhes ke log
Rajniti badi galat hai, ho congress ya jansangha ke log
Sawal kursi ka hai,kitne girte hai log
Des ki tarkki me rukawat lante hai rajnitik log
Aajadi ko kucha hi sal huye,hi-tech power mante hai duniya ke log
Dimakah bahot tej hai Hindostanayonka, super power banke dikhaynge log.
Vedang Dharashive.