Wednesday, April 1, 2009

poems

Jindgi
log
shyam
Gaon

Gaon

Gaon
O jaghah jaha paida huve thhe
Chotasa gaon jiske log payre thhe
Bachapan gujara vahi,yaade kitani payri hai
Rista itana pakka hai,uan galiyo aur chaubaro se
O ped o phul o poudhe o patte
O nadi o kinara najar aata hai aabhi bhi muze
O barasat ki raat,garmiki dophar,sardiki subaha
Kabhi nahi bhulenge jivanbhar ke liye
Bas baat rahti hai uun logi ki
Uun ki bhi baate nahi bhulenge
Jo dhuk shuk ki baate thi
Usako hamne kinare kar diya hai
Dunya me kahi bhi chale jay kaise bhulange
O jagha jaha paida huve thhe.
Vedang Dharashive.


Shyam

Shyam
Samandar ka o kinara aur o shyam
Aati hai aaj bhi muze yaad
Chanchal hava ka o tej chalna
Unchi unchi laharo ko saath le aana
Paschim disha ka o lal ho jaana
Suraj ka o dur samandar me dub jaana
Kitani ramniy sundar hai ye shyam
Aati hai aaj bhi muze yaad
Sab to nikal gaye aapne manjil pe
Aakela panchi keyon hai piche
Shaayad manjil bhul gaya
Meri tarah gumraha ho gaya
Kitne din gaye kitane saal
Phir bhi yaad hai o kinara o shyam
Vedang Dharashive.